Is tez bhagte train mein

Is tez bhagte train mein
Mere samne wali seat ka passenger
Aksar badal jata hai

Dar-asal main shuru se ant tak ka
Sawaar hoon
Wo…. Jo us door ke station se
Is agle parao tak
Jaanewaala hai

To main yeh kah raha tha
Ki mere samne wali seat ka sawaar
Station dar station badalta jata hai

Koi ek station, koi do-teen
Aur ek ne to raat bhar diya saath

Par parao aane par…
Unki bhi kuchh majbooriyan hain shayad…
Station dar station
Yeh samne wali seat ke sawaar
Zara thik tarah se jaan pahchaan hone se pahle hi
Utar jate hain

Aur main?
Kuchh der khirki se bahar jhankkar
Minute dus-pandrah baad
Sakuchana chhodkar
Haath aage badhata hoon…

“Hi! I am….”


Tapan
25.9.07
Marooned in an island named ‘Kolkata’

Comments

Popular Posts