Kabhi Kabhi

Kabhi kabhi sharir woh sab kuchh kah jaata hai
Jo man, dimag, zabaan lad jhagad kar bhi
Kahne ki himmat nahin juta paata.

Kabhi kabhi khamoshi apne saare shabd liye
Garbh-bati
Pata nahi kis shubh mahurat ki intezar mein
Zindagi beeta deti hai.

Kabhi kabhi dooriyan -
Nazdeekiyon ke baad waali dooriyan,
Ekakar ho jaane ke aakhir mein milaa
Ekakitatva
Kaan pakadkar mujhse yeh shabd likhwata hai.

Kabhi kabhi us akelepan ka ghav
Ris-ris kar
Meri saari satta mein phail jaata hai

Kabhi kabhi woh ghav
Man, dimag, zabaan tak phailkar
Is nigode sharir ko
Bahut rulata hai


Tapan
27.11.07

Comments

Popular Posts