Allah ka beta

Tumne gunah kaha,

Aur main insaaniyat ki saari nekiyan
Ek ek kar tumhari jholion mein
Dalţa gaya
Jab tak tumhe sukoon na mile


Tumne nafrat kaha

Auir main saari khudai ka pyar
Tum sabke gharon ke jharokhon se
Bantţa gaya
Jab tak tumhari ankhen muskuraye nahin

Jađe ki sard raaton mein
Muhabbat ki narm om ho

Ya registani dopahari ke tapte reţ mein
Tumhare paon tale ki chappal

Main wahan hoon hamesha
Jahan tum akele ho
Gusalkhane sa nanga, besahara ………….


Tapan
Christmas, 2007

Comments

Popular Posts