Tumse door

Pratham

Tumhari khamoshi batati hai
Ki tum khush na sahi,
Kam se kam chain se zaroor ho;

Sach kahoon to main bhi
Jitni taqleef mein hoonga socha tha
Us-se kahin behtar hoon

Hum donon
Aajkal
Ek dusre se dur
Apni apni dweepon mein
Jab tak rahte hain

Shanti se rahte hain


Dwiteeya

Har rishte ko, mere khayal se,
Hafte mein ekdin
Chhutti chahiye;

Chahe ravivar, budhvar..
Ya koi bhi ‘var’ ho

Ummeedon se dabi hui,
Aham ki kheecha-taani se
Thaki-hari
Nazuk, purane rishton ko

Hafte mein ekdin hi sahi
Kisi bhi mehnati mazdoor ki tarah

Poore samman aur tankhwah ke saath
Chutti chahiye…

Ab ye apki kismat hai
Aur poori tarah rishton ke upar hai
Ki woh chhutti se
Laute, na laute

Comments

Popular Posts