Milna chahta hoon

Kya main tumse mil sakta hoon?

Milkar wohi suni hui, thaki-haari purani baatein,
jinhe sunkar kabhi tum khush hote ho
aur kabhi taish mein aa jaate ho yakayak

wohi pahchani baaton ki ladi - gin sakta hoon?

nah... chhoro...

kuch pal ke milne se
yeh dheron ghante milne ki aas ke
behtar hain mujhe

yeh ghante un nasamajh palon ki tarah
mujhe munh to nahi chidati!

Comments

Popular Posts