Shuruat .... phir phir

Toofan ke guzar jaane ke baad
Ekbar phir

Bikhre pannon ko samet kar
Notebook banaata hoon;
Tute pencil ki nok ko
Tez karta hoon kuchh der;
Ghar ke kone ki diye mein
Thori tel daal kar
Use do hathon ke beech sahej kar
Phir jalaata hoon;

Khirkiyan kholkar jee bhar ke
Bheegi hawaaon ko
Phephre bhar bhar kar
Peeta hoon;

Phir ...
Apni Chhoti si duniya mein
Adne se table ke upar
Notebook ke panne seedhe karta hoon;
Tooti hui pencil ko pyar se uthakar

Ek nai kavita ki shuruat karta hoon||

Comments

Popular Posts