Bahut door se

Ab koi pukar nahi

Laad nahi, puchkar nahi

Pyar ya dular nahi

Koi intezar nahi

Zara bhi darkar nahi

Waqt par atyachar nahi

Kabhi coffee bar nahi

Shani ya ravi var nahi

Mamuli samachar nahi

Phone pe dutkar nahi

Shaam ki sawaar nahi

Chhip-chhipkar baazaar nahi

Baaton ki takraar nahi

Jism ab lachar nahi

Man bhi bekaraar nahi

Samay par tumhare

Mujh nasamajh ka

Ab bilkul akhtiyar (claim) nahi ¤

Comments

Popular Posts