Sannata

Man karta hai khamoshi ka gala ghont doon,
Aur phephron ki poori taaqat se
Ek doosren ki sahi aawazen,
Anubhootiyan, uljhanen,
Hawaa ke zariye bhejoon besharam -

Yahan tak sochte hi
Woh aasoonon ki gend
Bhannae sharirik kendron se nikalkar
Gale mein aa phansti hai

Sannata aur gahra ho jaata hai
Baatein
Kabhi siskiyan, kabhi lambi saasein

Kabhi uljhi kavitaon ki panktiyan........

Comments

Popular Posts