Saevshaktimaan

Jab pul toot raha tha
Aur barabanki ke mere gaon ke hazaron log
Apne apne taak pad rakhe
Tumko, tum sab ko,
Cheekh kar, ro kar, gaaliyan de kar
Pukar rahe the;

Faridkot mein mere kuchh aur doston ne
3 metre paani ke neeche gote kha kha kar
Apni rahi sahi zindagi doondh rahe the
Jab unke haath tumare bol aur roti banane ta tawa
laga
Aur woh ek hi haath bus khali hone ki wajah se
Roti ko rahim se zyada aham samjha

Door shang-diyan ke wo anjaane log
Theek se tumhara chehra yaad na aane ki wajah se
Jaise taise ek naam, ek tukda vishwas ya
Daadi se suni kuchh be-matlab mantron ka uchharan
kar
Keechad ka us sailab ke aage bewas aur lachar
Tumhe hi dhoond rahe the shaayad

Aur bhi dher saare log
Moscow ki aagjani ke baad
North carolina mein sab kuchh khokar
Sudan mein bahan-beti ko military camps mein jaate
hue dekhkar

Tumhari shakti ka, sab tarah ki shaktiyon ke hone
ka -
Ya yun kahun, to na hone ka -

Ehsaas...

Comments

Popular Posts