Insaaniyat
Khai ki theek kagar par
Ghar banana
Aur phir din, mahine, saal... umr
Ye samajh kar bitana ki
Sabkuchh theek hai
Aisa hi hota hai
Yun hi rah jaega sabkuchh
Madhyakarshan ko thenga dikhakar
Adharon mein latak-ti isi zindagi ke saath
Uthoonga, baithoonga, khaoonga, So-unga
Aur kuchh karne ko na ho
To maithun bhi karoonga,
Ye sirf insaan ke bas ka rog hai
Ye jaanwar saale,
Bechaare kitne bhi be-insaniyat kyun na ho,
Ye ulti aane layak khel
Maze le lekar
Kabhi khel hi nahi sakte !
Comments