Tumko - 1
Maana ki tum vyast ho
Zimmedariyon se grast ho
Samai ke peechhe trast ho
Ummeedon ka jaam peekar
Sara-din mad-mast ho;
Par kuchh muhurt mere shabdon ko
Aur unko pirote chhandon ko,
Kataar sa chaand dekh-kar aaye khyaalon ko,
Aur bacche dil ke sawalon ko,
Tum sunkar bhi na sun sako
Kuchh khwab un mein na bun sako
Apnepan ki aanch ho
Viswason saanch ho
Phir bhi khyaali pulao, kirkire, kacche
Ye koi baat hui?
Is se to mere dil ke bacche
Ghar mein hi achhe :)
Unhe tumhare paas kyun bhejoon?
Kaam-waalon ki mahfil ke layak
Unhe sikhane padhane ko yaka-yak,
Tumhe kyun sahejoon?
Zimmedariyon se grast ho
Samai ke peechhe trast ho
Ummeedon ka jaam peekar
Sara-din mad-mast ho;
Par kuchh muhurt mere shabdon ko
Aur unko pirote chhandon ko,
Kataar sa chaand dekh-kar aaye khyaalon ko,
Aur bacche dil ke sawalon ko,
Tum sunkar bhi na sun sako
Kuchh khwab un mein na bun sako
Apnepan ki aanch ho
Viswason saanch ho
Phir bhi khyaali pulao, kirkire, kacche
Ye koi baat hui?
Is se to mere dil ke bacche
Ghar mein hi achhe :)
Unhe tumhare paas kyun bhejoon?
Kaam-waalon ki mahfil ke layak
Unhe sikhane padhane ko yaka-yak,
Tumhe kyun sahejoon?
Comments