Phir vasant

Har patjhar ke baad
Hoti hai ek asha;
Ab ho sakoonga shayad
Pushp-patra viheen, nirvastra;
Peele parte rishton ke
Hare zakhmon ko
Aur unhe kured-kuredkar ris rahe
Har ek phool ko, phal ko
Tyagkar, bilkul akele
Apne badsoorat terhe-merhe shakhon ke,
Aur mote-bhadde tanon ke
Aur daant dikhate jaron ke saath
Rah sakoonga kuchh waqt, besharm

Par phir bheekh mein milte kuchh taaze, hare zakhm
Rishton ki taazi, fareb vasanti hawayen
Dil mein daal jaati hain
Zahreele ummeed ke beej,
Phir se chalte rahne ka abhishaap

Comments

Popular Posts