Bematlab

Koi to matlab hoga?
Yeh jo kitaab ke panno mein chhupi chitthi
Aaj solaah saal baad mujhe mili

Aur main sthan, kaal, patra bhoolkar
Tumhare saamne khara ho gaya
Jhenpta, sharmata – besharam
Waqt ke kathgare mein sar jhukaye

Halanki, tumne kabhi mujhe kosa nahin
Na mujrim kaha
Baadlon se raasta poochhte poochhte tum
Ek samai se doosre tak
Chalti gayi nischint
Raaste jo bearish mili
Usme bheegte, rookte, thithoorte
Aam taur par – muskarate
Aaj itne saalon ka chalachhitra
Ulta ghoomakar main
Phir tumhare saamne hoon
Ye chitthi jo tumhare lautae kitaab mein bund
Roshni to tarasti, aaj mere saamne
Koi to matlab hoga iska?"

Comments

Popular Posts