Lehar ek, tum si...

Main tumhe pehchaan nahin paata
Samandar ki lehron mein jyun thahrao nahin aata
Dekho to har lahar ek si
Par nazdeek jao, chhookar aao
Har lahar ta uthna, tootna - anokhi
Alag alag behnen maano ek hi sharir mein
Bilkul hi judaa se khwamkha ke khayal
Jaise kisi ka kisi se kuchh lena dena nahi !
Mere kadmon ki aahat se chonwk-kar
Sakuchati, peechhe hat-ti lehar ko dekhkar
Kaun kahe ki yeh lahar chand lamhe pehle
Zor shor se, nivastra, mere kadmon ko
Sharir ko, saare astitva ko
Bheegakar sarabor kar gayi
Aur woh tab
Jab main pure kapron mein, joote moze ke saath
Bilkul taiar nahin tha

Haan, aur lehren aaengi
Tootkar, mere wajood ko namkeen kar
Bheega jaengi
Par tab ? main taiar rahoonga
Shayad, dhoondta hua
Lehron ki baarish phir se

Par jaadoo bhari achanak sarabor karti
Woh leharWoh eklauti, bahut meri si
Apni

Woh kisi aur ko dhoond rahi hogi?
Jo waisa hi poore kapron mein
Bina kisi taiari ke
Anmana?

Comments

Popular Posts