Bus, tum

Bus, tum hi to ho
Jiske saamne bachhon ki tarah
Haath-pair maarkar
Besharam chilla sakta hoon;
Ek tum hi to ho
Jisko duniya bhar ke kisi bhi wajah se
Naaraaz main
Bewajah boora bhal kah sakta hoon;
Ab tak tum hi to ho
Jise mere giraye kanche main
Bejhijhak chunkar waapas uthane ko
Kabhi bhi hukm kar sakta hoon;

Yahan, jahan tak meri samajh jaati hai,
Jahan tak meri tadap laati hai,
Jahan tak meri kasak paati hai,
Yahan se,
Mere bhoole-bisre geet
Mere gire-bikhre preet
Mere adhe-adhure meet
Jo kuchh bhi kahoon -

Tum hi to ho.

Comments

Popular Posts