Subah

Subah hoti hai
Aur ek adh-gadha sa din
Munh-baaye saamne khara milta hai;
Purani aadat hai,
Ye din hamesha mujh se
Chand ghante pehle hi uthkar
Na-samajh sa sakuchaya
Sirhaane aakar baith jaata hai;
Ummeed to rehti hai sapnon mein,
Ki ye sada purana din
Zara naaz-o-andaaz ke saath
Neend se jagaaye,
Doudaye, bhagaaye,
Taaki iske dhalne par,
Kuch safed baal, sharir ki kharabiyan
Aur chehre ki jhurriyon ke saath
Mil paaye ek utha hua sar,
Kuchh garv ke pal
Aur shaanti ki muskaan;
Ab ye sab main is ati-sadharan,
Jaahil, na-samajh aur
Mujhse behad pyaar karne waale
Is din se kahoon,
To bus bawra sa muskurakar
Sar hila dega,
Phir se kahega -
"Ji, aap jaisa theek samjhen..."

Comments

Popular Posts