Aagantuk

Ekdin koi aata hai
Aur khandahar ki deewaron par phir se
Meri woh purani, shahi tasveer
Jhar-ponchhkar dubaara tangne ki
Khwahish jagaa jaata hai|

Samandar ki gehrai mein jyon
Koi tamashbeen gotakhor,
Moti- woti ke liye nahi,
Bus yun hi,
Sirf gehre neele paani ke beech se
Indradhanus machhlion
Jhilmilate prabal (corals)
Aur chand ek khatarnak, par seekhaye - padaye
Shark - waark ko chhoote, sahlate hue

Ek khushmijaz gotakhor aata hai

Aur gahri khai mein sikude
barson se jamee hare zakhmon se ghire
Suryabhilashi mere shareer ko

Satah ki dhoop dubaara senkne ki
Lalach dilaa jaata hai |

Comments

Unknown said…
तपन - तुन्हारी तस्वीर अभी भी शाही है और अलफ़ाज़ गहरे - :-) - जोशी

Popular Posts