Tasveer

Main tumhe todna chahta hoon |

Tumhare astitva ke mool tatvon tak,
Jahan tum apni chhoti bachhi ki tarah
Bejhijhak
Ghar der se aane par nasamajh gussa kar sako ;
Pyaari, ankahi mangen puri na hone par
Bindaas
Haath-pair maarkar aasoon baha sako ;
Aur phir kabhi, achanak
Sayani daadi amma si
Apni nanhi-si honthon se
Koi badi samajh waali baat kahkar
Sabko chaunka sako -

Un mool tatvon tak tumko
Main, apne haathon se
Chhote, chhote tukdon mein
Todna chahta hoon|

Phir,
Dhalti suraj ke neeche baithkar
Ek roz
Tumhari un sachhi, suljhi hui tukdon ko

Bade pyaar se jodega ye kavi
Aur man mein sanjoyi
Ek barson purani tasveer se
Milayega,
Khush hoga |

Comments

Popular Posts