Adhyay do (10.6.2001)

Main badal nahi paya
Duniyadari ki yeh saanp-seedhi
Meri samajh nahi aaya.
Jab dhoom machi thi charon or
Maine geet nahi gaya.
Farebi keechar mein sachhe kadamon se
Kabhi samhal nahi paya
Fitrat wahi, na kismat badli,
Thodi unnees hui hai kaya!
Tumhari galiyon se, tumhari duaon se,
Koi fark nahi aaya.
Use mera ‘main’ kaho ya chhichhola bachpana
Usne kahar kahin dhaya.
Kab koi kahin de pata sukoon?
Na sach ka sooraj,
Na jhooth ka saaya
Tum cheekho, maro, pyar karo,
Yeh sach hai ki
Main bilkul badal nahi paya.

Comments

Popular Posts