Ummeeiden

Kisi kisi din
Ummeeiden
Haath se chhute moongfali ke thonge si
Ya phir mano
Galati se ulat gaye guldaste ke phoolon jaisi
Ya
Achanak aayi kisi jhonke se charon or bikhre
Pyari pandulipi ke panno jaisi
Bikhar jaatin hai

Aur naalayak, lalchi zindagi
Ek ek kar moongfalion ko uthakar
Phoolon ko pyaar se sahejkar
Pandulipi ke panno ki pyari si qitab banakar

Dekho kaise ulte seedhe kadmo se ladkharate hue
Kabhi girte, kabhi sambhalte hue

Digant par khile agami suraj ki or
Chalti jaati hai

Tapan
1.6.07

Comments

Popular Posts