Kal maine dekha

Kal maine dekha
Meri akankshaon ki chhat par
Kuchh dararen ain thi
Uske pahle se hi
Meri bhawnon ki deewaron par
Qafi silan lag chuki thi
Aur qarib mahine bhar pahle se
Main dekh raha hoon
Mere vishwason ki zameen
Kuchh hildul rahi hain

Pichhle kuch dinon se
Na jaane kyon baar baar
Kamre ki hifazati sukoon mein
Garm kapde odh kar
Baithe hue phir bhi
Mujhe lag raha hai
Ki main bilkul vivastra
Khule aasman ke niche
Akela pada hua hoon

Barish se gila ho raha hoon
Phir dhup se sookh raha hoon

Tumse milne ke baad se
Yakin maano
Mera adna sa kamra
Ek sampurna viswa sa
Ek brahmanda sa ban gaya hai

Comments

Popular Posts