Safarnama – 1

Bhir bhare train mein achanak
Kisi station par tum aaye.
Pahchaan thi kuchh mamuli si,
Isliye
Muskuraye.

Dua salaam khatir khairiyat,
Khud ki seat chhod khada hua main
Tum mana karte rahe, phir baithe,
Par sharmaye.

Phir, jaisa filmon mein hota hai,
Bhare se us train ke kamre se
Ek-ek kar sab utarte gaye,
Thodi si barish hui bahar,
Mausam khushnuma
Aur tum? Gungunaye.
Palkon ke jharokhon se
Saf jhalak rahe the aasoon,
Maine puchha, ‘kyun’?

Tum sabkuchh batlaye.

Ek pal mein maine jaana

Woh surile dhun mere nahin the,
Woh anmani muskaan
Meri nahin thi,
Who mausam aur tanhai ka jaadu
Mere nahin the.
Yahan tak ki un aasoonon ki wajah bhi
Main nahin tha.

Halki barish ke bad, tabtak,
Suraj jinda jala raha tha,
Umas saasein rok rahi thi,

Log phir se kamre mein aane lage the,
Aur akelapan, mano platform se lautkar,
Wapas sharir mein chhaane laga tha.

Sabse bachakar, bahar corridor mein,
Maine tumhe samjhaya,
Bahut roya, thoda chillaya,

Par tumne gungunana bund nahin kiya,
Anmane se muskurana bund nahin kiya,
Palkon ke daman se aasoonon ki bhi
Tumne chhutti nahin ki.

Aur aparichit tum,
Ek station se dusre station ke beech,
Itne parichit ho gaye,

Main bardaasht nahin kar paaya

Akelepan ki hatya ki maine
Use chalti train se dhakelkar baahar phenka

Par galati se saath mein gir kar mar gaya
Tumhara yakin, meri pukar
Sabkuchh

Apni manzil ke platform par jab hum utre

To phir se
Do ajnabi.

Ab jab kabhi milenge to
Muskurahat
Dua salaam khatir khairiyat
Kuchh nahin hogi

Ek dusre par agar nazar padi
To katrakar dono age nikal jayenge

Barish ki woh bunde
Train ke kamre ki woh bewajah tanhai
Aur tumhari baatein, muskurahat, aasoon…

Zindagi bhar mere samaan ke saath saath
Ek station se dusre station tak
Chalte jayenge.



tapan
22.7.07

Comments

Popular Posts